Sapne

Khushi (happiness) kehne ko toh ye ek chota sa word hai magar fir bhi logo ko mehsus krne me sallo lg jate hai. Ajkal es chakachond se bhari hui duniya me sab ek ke piche ek bhagi jare hai bina soche ke unke khudki Khushi kismat hai kya karke unhe Khushi milti hai. Dusro ko dekh vahi karne ki chahat me najane aj kitne logo ko akhir me mayus kiya. Shyad un sab ke bhi koi nah koi sapne honge kuch hasil karne ke magar kisi or ke jaisa bne ki chahat me un sabhi apne sapno ko nazarandazz sa krte jare hai. Shyad unki baton ko unke sapno ko kisi ne janne ka mauka hi ni diya School, Colleges jha shyd unhe vo btana chahiye tha ke unke pass kitni possibilities hai apna profession chunne ki par akhir me vo bss apna syllabus hi pura krvate re gye. Ha kyi bar humse pucha chahta tha ke tum bnna kya chahte ho magar ye unke puchne se aur humare btane tak hi tha eske age unhone kuch kaha hi ni ke jo hum banna chahte hai uska rasta kbhi unhne dikhaya hi nhi bss apne sullabus me hi uljhate rahe. Ghar jo shyd kisi bache ke liye pehla school hota hai or uske teachers humare mom-dad magar vo bhi najane kiu humare hote hue es smaj ke zyada hai. Tests me exams me number kamm ane pe hume dantna kisi aur se compare krna hume par kiu har koi ek jaisa nahi hota shyd. Har bar bss ek baat kehna ke agar tu padhega nhi to kuch bnega kaise? magar ! chlo ye bhi manta hu ke padhna zruri hai par ye to nhi nah ke hume vo padhaya jaye jo shyd age jakr humare kaam bhi nahi ayega konsi IT company me job dene se pehle akbar ka janam kb hua ye pucha jata? Konsi medical field ki job me barbar kb mara ye pucha jata? sare yhi kehre hai ke duniya badal rhi hai age badh rahi hai magar fir bhi kisi ek person ko azadi kiu nhi hai pane hisab se padhne ki apne hisab se sikhne ki. Shyad se School hote hi ese liye hai k eek student ka bhavishya sudhare unhe vo gyan dekar jo sai me uske kaam ayega age bhadne me naki unke dimag par bhoj dalkar ke numbers ke bina tum kuch nahi ho agar tum padhoge nahi to tum kisi kaam kaam ke nahi ho. Jis din ye sab Schools, Colleges ne ye kaha nah ke tum jo sikhna chahte ho hum vahi sikhayenge naki en kitabon ke talle tumhe dbayenge tab ye duniya sai mai age bhadegi.

Let’s Start

Chalo aj ek neya swera bnate hai ,

Jo kahi khud me hi gumm ho chukka hai use firse dhund late hai,

Duniya ki es bheed me dusro ko nahi khud ko hi apna sathi bnate hai,

Vada kar khuds eke sath nahi chordenge apna ek neya kal lekar ate hai,

Khud par vishvash kar khud ko takatvar bnate hai,

Duniya me bohot milenge jo  hume todne ki koshish krenge,

Challo apni andar ki takat se apni jeet ko mukamal bnate hai,

Khwaab to hazaro hi en nanhi si akhon me ,

Toh kiu ese kisi ke karn asuon me bahate hai,

Intzar krte ho ek naye swere ki magar hum khud kiu nah apne kadam bhdate hai,

Chlo hum sath milkar ek neya swera bnate hai,

Jo kar nahi pa rahe apni madat unka sath dekar uhe bhi hasna sikhate hai,

Dill me hazaro sawal hai puch un sawalo ko apne andar se ek bhoj htate hai,

Khali kar mn ko apne fer ek nayi chahat jagate hai,

Hasil kar us chahat ko apne sath sath kuch aur logo ko bhi hasna sikhate hai,

Rulane walo ko kmi nahi , roe nah koi kuch esa kaam karke dikhate hai,

Es duniya ko kiu nah hum milkar apne vicharo se khubsurat bnate hai,

Chalo hum sab milkar ek neya swera lekar ate hai..

Half Soul

Tumme chuppe ankahen se hazaron raaz lgte hai ,
Pucho agr tumse simar kon hai tumhara aksar keh dete ho vo humare khass lagte hai,
Tum khud ko aksar kiu kasoorvar thehrate ho,
Har baat ko apne dill me hi chhupate ho ,
Apna mana hai tumne to baat bta diya kho,
Khuch sunaa kro meri or apni bhi suna diya kro ,
Hath pakda hai tera koi mzak nhi hai,
Gussa hota hu nadaniyo me ye nh smjhna jazbaat nhi hai,
Jaaan se bhi zyada tujhe hum chahte hai,
Jitna milla nh kabhi use bhi zyada pyaar tujhpar har rooz kurban kr jate hai,
Jante hai tumhari dill ke har daffan raaz ko,
Bin kahe hi samajh lete hai tere har jazbaat ko,
Zrurt nahi padhti mujhe kisi sboot ki tera ek bar kehna hi kaffi hai,
Pure din nah sahi tera ek pal sath rehna hi kaffi hai,
Dill ki har baat jo tum mujhe btate hai,
Hkk hai jo tumhara mujhpar bekhub nibhate ho,
Bina kisi sval ke meri hat baat man jate ho ,
Har dard takleef ekdusre ka bin kahe hi jan jate hai,
Yeh to khuda ka bnaya rishta hai meri jaan tbhi toh hum ekdusri ki half soul kehlate hai..

Ek Vaada

Akhiyon ka paani hai ke ruk nah rha ,
Jise apna kehte the aj unpr bhi humara koi hkk nah rha,
Baat jakr har unhe btate the,
Raaz zindgi se sab unse se hi sanjhe kr jate the,
Khud se zyada vishvash tha unpar,
Magar fir bhi humare vishwas ki unhe kadar nah hui,
Aj humare raaz sabko pta hai,
Sabko btaya unhone ke hum unse door hue kyuki sari simar ki hi khata hai,
Yu nazro me giraya unhone ,
Jhuka nah tha jo khuda ke elava khi us simar ko bhi duniya ke age  jhukaya unhone,
Zindgi bhi ab ruth chuki thi,
Ek se nahi sabse hi dosti humari tutt chukki thi,
Koi esa nh rha jise mai apna keh pau,
Vo beth kar sune jb mai apni dastan use sunau,
Khuda ne kya zindgi ghumadi ,
Mujhe meri hi zindgi anjane mai miladi,
Do dosto ne bhi mujhe apna kha ,
Zrurt thi jab-jab unki vo sath hmesha khda rha ,
Ek thoda ajeeb sa hai ,
Karna bht kuch chahta hai magar beech me hi ruk jata hai,
Dusre ki kya hi baat btau ,
Har baat me ha kr mere sath hi chal deta hai,
Ek aur ee jisne mujhe apna bnaya ,
Apna bnakr mujhe apne dill me bsaya,
Sath vo har kadam par deti hai mera,
Zrurt ke samay me ajtk usne kbhi mujhse apna mukh nahi fera,
Vade jo karti hai vo nibhati bhi ee,
Khali dikhava nhi kari vo mujhe dill se chahti bhi hai,
Ab mene zindgi ka maksat bhi dhund liya hai,
Khoya tha jo use fer mai paunga ,
Adhore kammo ko akhir tk lekra jaunga,
Janta hu gir gya toh mere apne mujhe smbhal lenge,
Har mushkil se mera sath deke mujhe usee nikal lenge,
Sath mai bhi unka khub nibhaunga,
Aj vada karta hu tumse akhri sans tak tumhare sath hi jaunga……

Happy Birthday Kmine

Ajnabi sa tha vo jab pehli daffa use dekha tha,
Dekha jab use akela sa last bench par betha tha,
Maths ka bukhar tha use har waqt vahi padta tha,
Koi ladki agr use bulale toh vo sharma ke karta tha,
Ek uljhan se rehta tha,
Sabse milna chahta tha par kbhi nah kehta tha,
Pagal si harkte uski dill se vo sacha tha,
Harami si uski shkal par masum sa vo bcha tha,
Aksar hum use bohot state,
Bag uthakr uska teacher ke pass lejate,
Dant padhti jab use toh sab hum milkar muskurate,
Bhaga nahi jata tha use aksar piche reh jata tha,
Bhagte-Bhagte ek din sir par hi ulti kr betha tha,
Samjhta sab tha fir bhi anjan sa bnta tha,
Ladkiyo se shrmakr kone se me beth jata tha,
Kiu krte ho tum sab esa vo aksar humse kehta tha,
2 sal beet gye hasi mazak me hi,
Mai janta nahi tha ke vo uske sath meri akhri mulakat nhi,
Fer mujhe vo college me tkra gya,
Dekhkr use Thapad marke piche se mai bhi yha hu mai use btagya ,
Mene use fer apne hi section me bulaya,
Bulkar use kuj naye chehro se milvaya,
Haste khelte humne kyi pal sath bitaye,
ekdusre ko hum ache se smjh paye,
Anjan nahi tha vo insan hi tha vo,
Sath usne mera har mod par nibhaya,
Mere sath hai vo akela nahi hu mai usne har bar ye ehsas mujhe krvaya,
Zrurat thi mujhe jab bhi bss mene ek nam pukara or vo aksar chla aya,
ghar jane ke bad vo aksar kho jata tha,
message toh chordo phone bhi niahi uthata tha,
Abhi bhi vo kamia mere sath hai ,
abhi bhi uske sath hone ka ehsas hai,
Dost toh nahi magar vo bhai hai mera,
tumne agr mujhe kuj kaha muh tod dega vo tera,
Chal ab bhohot hpgyi tarif ab teri,
Jau ab mai inzar kr rhi hai bhabi ab teri,
Acha sun Happy Birthday kamine.......

Vo jaan hai meri

Bhull chuke the hum tere us raat kiye ikrar ko,
Bhull gya tha mai thoda hi sahi tere us pyaar ko,
Roya tha mai khub teri yaad me us yaad ko bhi bhula diya tha,
Tere jane ke bad khudko apna bnaliya tha,
Dosto ne mera khub sath nibhaya,
Teri yaad me jab bikhar kr gir gya tha mai,
Hath pakad mera mujhe firse khda kr jeena sikhaya,
Raah me chlte kuj naye chehere bhi mille,
Apna bnakr jinhone mera khub sath nibhaya,
Kbhi bhull ni paunga unhe jinhe mujhe duniya se nazar milakr chlna sikhaya,
Fer khuda ne mujhe ek hasin chehre se vakif krvaya,
Na jane kiu mujhe mere bare bina jane mujhe usne apna bnaya,
Aksar kehti hai vo humara koi apse purana natta hai,
Varna kon etni jadli kisi ko apne dill me bsata,
Vo pyaar bhi behad krti hai,
Chahe mai jaisa bhi hu meri har tasveer par vo marti hai,
Darti hai vo ke koi kho nah le mujhe use,
Fer mai use apne galle se lga kr keh deta hu “koi nahi le jayega dur mujhe tujhse”,
Vo muskurake glle se lgaleti hai,
Beech beech me dekhkr mujhe fer akhen chura leti hai,
Nah bhi khu ke koi drd hai mujhe ,
Vo najane kaise pehchan leti hai ,
Gehre raaz daffan hai jo mere andr vo unhe bhi jaan leti hai,
Apna apna kehti mujhe kbhi thakti nah uski jubaan hai ,
Vo aur koi nhi vo meri jaaan hai…….

Vo mujhse zyada janti hai

Nau mahine rakhkar kokh me usne drd shaha hai,
Pehle bar dekh kr apni bahon me usne mujhe apna kaha hai,
Mujhe sukhe me sulakr khud gille me sojati thi,
Bezuban sa tha mai par bhi vo meri har baat samaj jati thi,
Koi gair chuu bhar bhi le mujhe vo aksar ghbra deti thi,
Rota dekh mujhe vo mujhe seene se lga leti thi,
Uthakr godh me meri jaan hai tu vo aksar kehti thi,
Bukhar hone par mujhe vo puri raat jagti thi,
Drd mujhe hota tha par palak unki nah jhapakti thi,
Papa se chupkr vo mujhe cheze dilati thi,
Galti karne par mere papa se aksar mujhe bachati thi,
Har khuish puri ho meri vo khud se aksar dhaurati hai,
Jaise mujhe bchpan me chahti thi aj bhi vse hi chahti hai,
Bin kahe mujhe bhukh lagi hai vo khud hi samajh jati hai,
Bin Kahe mere hathon me University jate kuch paise thmati hai,
Kahi bukha nh reh jau mai din me khane ka yaad krane ko vo ek bar zrur mujhe phone ghumati hai,
Aj bhi agr koi takleef ho mujhe vo mere ankahen hi samajh jati hai,
Roota hu mai jab bhi apne asun ko ponch pehle mujhe chup kran eaa jati hai,
Duaye vo aj bhi vse hi mangti hai jaise pehke mangti thi,
Meri maa mujhe aj bhi vse hi janti hai jaise pehle janti thi…..

Kuch Khwaab

Kuch khwab mere tere nal jude ne ,
Ek var mere vall vekh tan sahi ter ek jhalak lyi eh saah mere khade ne,
Kuj pall nhi puri zindagi tere nal bitani hai,
Do pannya di nhi jo koi bhull nah sake eda di tere nal likhni kahani hai,
Kuch kande v haige ne sadiya raahan ch,
Asi fer vi nange pair tur avange ,
Apnya ne je thukraya vi sanu asi tan vi tenu  apne gall nal  lavange,
Pura vishvash haiga menu apne es pyaar te ,
Tere nal jo kite ne ikrar te,
Hun kuch khwab tere nal pugaune ne,
Hun kuj doha ne milke apne supne sajaune ne ,
Tenu apna bnake asi khud nu labh leya hai,
Bhull betha si khudnu hun hasil kar sabh leya hai,
Vadde kite ne jo oh puri reej nal nibhaunga,
Eh nah sochi kamliye tenu adhvichkar chadd jaunga,
Tere ek supne utte lakhan khushiya lutaunga,
Teri haar hon te tere nal rooke tera pura sath nibhaunga,
Sun sohniye tenu mai ehna chahuna ,
Supnya ch tan pehle vi aundi si par ajkal tan kitaban ch mai tenu pauna,
Sun jhalliye LoveYou hai mere vallo..

Kuch khwaab tere ne te kuj mere ne,

Millke krange bss raaha ch thode jahe hanere ne,

Te aan wale swere tere mere ne….

~SimarpreetSingh

Is Your Heart Okay?

Look at her full of careless she,
Doesn’t want to go in the brighten site,
Want to live in her own imagination,
Don’t allow anyone to involve in her matters,
Don’t want to share her feelings with anyone,
Wants to live with some of her favourite persons,
Avoid speaking up about herself,

Wait stop being imagine that she is depressed No ,

I talked about introvert girl,
She enjoy her own company ,
Everyone think they know her but deep inside only she know they don’t,
Emotionally weak from inside but stronger for world,
Wants to live alone but connected with god,
Prefer taking to nature rather than people,

She used silence to express her feelings but only few can understand,
She is annoying for many but unique for few,
She like teddy more then annoying people around her,
She does’t need people to comfort or accompany her,
Just some smoothing music is enough ,
Everyone wants new people, but she Distance from double faced people for good,
Hardly she share talk with someone and if someone know’s the secret then they are special,
She does’t need to prove love, the one close to her will understand!!

@Lines By Avishi

I NEVER FORGET

Mai kabhi bhull na paunga jo hua aksar mere sath hai,

Pass akar logo ne aksar sikhayi ek baat hai,

Layak nahi mai unko apna banne ke,

Aksar unki apni zarurat ke samey unhe apne pass pata hu,

Akhir me jate hue aksar koi aur apna or mai paraya ban jata hu,

Inkar nahi karta mai madad karne se,

Inkar nahi karta tumare sath khadne se,

Par fer bhi tum mujhe apna bana kar thukra jate ho,

Apna kehkar mujhe or gairo ko apna bna jate ho,

Kuch Baaten mujhe aj bhi satati hai,

Nam ko tumhare abhi bhi ye sanse apnati hai,

Koi shiqayat nahi mujhe bss ek guzarish hai,

Apna agar bolo mujhe toh thoda toh sath nibhaya kro,

Kaam hone ke bad ese toh na mujhe thukraya kro,

Mana pehle jaisa nahi hai kuch magar thoda yaakeen rakhte mujhpar toh acha lagta,

Ajnabi the tum tab bhi mai sabko kehta ye mujhe apna lagta,

Tumne aj vhi baat dhauradi jaise bakiyo ki hai vse hi apni chavi bnadi,

Sun, aj mai tumse kuch kehna chahta hu,

Umar toh chordo ek pal bhi na ab tere sath rehna chahta hu,

Zindgi mai aye the ye hmesha yaad rkhunga,

Hua tha jo mujhse tumhe apna banana ka gunah vo hmesha yaad rkhunga,

Chall ab apne-apne raste ko nikal jate hai,

Tere sath bitaye ek bhi pal na ab merko yaad ate hai……………..!

Tu Etna Pyaar Kaise Karti Hai?

Har din teri ati hai bohot yaad ,
Intzar rehta kab hogi humari tumse baat,
Baat jab hoti hai kabhi-kabhi ankhen dono ki roti hai,
Najane vo kya baat hai dono ke har bar mill jate jazbaat hai,
Adhure se rehte the jo vo pure hogye,
Milne ke bad ekdusre ki yaadon me hi khogye,
Jo akele se the vo ab ek hogye,
Vo aksar mujhe hath pakad uthati hai,
Jab mai gir padta hu toh mujhe aksar mera sath nibhati hai,
Jab mai bikhar jata hu vo aksar mujhe jaan apni bulati hai,
Batton hi batton me roz mere dill ko mujhhi se churati hai,
Ab uski jaan bhi mere me basti hai,
Mere asuon me asun or hasi mai hasti hai,
Najane mujhe vo kyu etna pyaar karti hai,
Mai bhi uska pura sath nibhata hu ,
Jeeya jaise kaise use har mod par batata hu,
Vo bhi meri har baat samjhti hai,
Udas hone par mere vo najane kaise jaanjati hai,
Gussa ho agar vo mujhse fir mere thode pyaar karne par hi manjati hai,
Passand nahi hai use mera yu gussa karna,
Aksar es baat se mujhse ladti hai,
Par pata nhi najane vo mujhe etna pyaar kaise karti hai,
Jhalli si hai vo har baat mai ulajhti hai,
Samadar bhi hai etni ke mere bin kahe hi vo dill ki baat samajhti hai,
Pure din mere jwab ka intzar karti hai,
Sapno me chordo vo padhte hue bhi mujhe yaad karti hai,
Phadhle tu usse mai har baar kehta hu,
Bass thodi der aur kehkar aksar mnna leti hai,
Call par sone ke bad mere aksar dhemi si awaaz mai LoveYou bhi kehti hai,
Duaye mang mere liye fir vo bhi so jati hai,
Najane vo mujhe kaise itna chahti hai….❣️❣️

Zindgani

Suno challo aj ek nayi dastan bnate hai,
Jo ajtk hai dill ki ankahi vo dastan hum btate hai,
Khawabo me tujhe aksar pate hai,
pall jo guzare sath tere mujhe raaton mein rulate hai,
Bhulna chaha jo tujhe par fir bhi bhull nah patte hai,
Hakikkat mai toh tu sath nahi pr khawabo mai tujhe apne sabse qareeb hum patte hai,
Hasi meri teri muskan se judi hai,
Pass hokar bhi tu mujhse hi door khadi hai,
Likh deta hu aksar tujhe kitabon me,
Kabhi-kabhi pa leta hu tujhe apne khawabo me,
Peheli mohabbat thi jo tu meri aaj mujhse hi anjan hai,
Kabhi kehta tha tujhe mai apni aaj vhi kisi or ki jaan hai,
Aj fer teri yaad ne mujhe rula diya,
Mujhe mere bikhre hue naseeb se milla diya,
Logo ko dikhane ke liye aksar muskura leta hu,
Koi jaan nah le mere halaton ko esliye
kahi-kabhi sabko hasa leta hu,
Khawab mere bhi bohot hai magar fir bhi chuppa leta hu,
Zindagi mein maine apni harpal dukh hai kamaya,
Na apne samajh sake mujhe aur nah koi meri madad ko aya,
Na kehkar bhi har pal sabhi se kehta hu ke koshish kro shyd humme bhi samajh pao,
Uthkar alag es bheed se shyd jankare mujhe meri aur hi challe aao,
Bura nahi hu mai bass halaton ne majboor kardiya,
Khali tumse hi nahi mujhe gharwalo se bhi door kar diya,
Bachpan se ajtak vo bass ek baat hi sikhate the,
Ke padhai kaise chalri hai yahi puchne ko bass apne pass bulate the,
Mehnat toh khoob karta tha mai magar vo fir bhi umeed rakhte the,
bohoh bar dil toda unka ,
Koi shikwa nahi hai unse magar fir bhi ek shiqayt hai,
Bas ek bar pass akar gale se laga kar keh dete ke khush hu mai teri mehnat se,
Kya hua jo is bar nhi hua agli bar mil ke mehanat karange,
Toh shyd mai yu nah hota,
Lakhon ki bheed mai akela sa nah hota,
Dost bhi kai mille jo dekhte-dekhte kareeb hogye,
Socha tha ke jaan jayenge es khushi ke piche ka raaz,
Lekin vo mujhe jankar hi ajeeb hogye,
Ek pall pehele jo mere sath the vo aj kisi aur ke qareeb hogye,
Ab apne jazzbaton ko aksar kitabon mai likh deta hu,
Logo ki nazro mai aksar mai rishton me bik deta hu,
Har kisi ko khush karne ki koshish mai khud ki khushi gvah betha,
Kise ko meri baat ka bura na lag jaye isi aas mein apne ap ko tudwata rha,
Chahta tha dukh nah ho kisi ko esliye khud hi dukh kama betha,
Kehna tha jo vo mai kabhi keh paya nah,
Apno ke haton se hi hu bikhra or apno ko hi keh paya nah,
Jb thi zarurat mujhe sbki toh kisi ne nah sath nibhaya,
Aaj bhi yaad hai vo har ek shaqs jo meray halat dekh kush hua karte the,
Sath toh mere the najane or kispar marte the,
Aj ye kahani khali meri nahi har kisi ki zindgani hai ,
Likh di jo maine apne zubani hai…………..

Ha Khush Hu Mai

Ha bohot khush hu mai pakar tujhe,

Khush hu mai apna bnakar tujhe,

Khone se mai aksar darta tha,

Pall pall kahi apno ko nah khodu kai jatan bhi karta tha,

Yeh sall bohot ajeeb sa hai,

Jo ho chuke the door aj vo kareeb sa hai,

Laut kar bhi kai aye hai,

Aur mene bhi ab naye khwab sjaye hai,

Ha khush hu mai tumhare laut ane se,

Khush hu mai tera mujhe nah chord jane se,

Sath meri rooh bhi nibha rahi hai,

Mujhe rakhkar ahrpal khush apne kareeb la rhi hai,

Tum sab jo sath ho toh zindgi apni si lagti hai,

Bujh gayi thi jo mere armano ki jot lagta hai ab vo fer jagti hai,

Anek rishte aye hai zindgi me mere,

Par kuch rishte khass bann gaye,

Ab vo mujhe chordkar nah jyenge dill mai ye ehsas bann gye,

Chahate ab meri etni si hi hai,

Sath rahu tumahre ab zindgi jitni bhi hai,

Tum sabki khushi se mujhe khushi milti hai,

Ek muskan tumhari si zindgi meri khilti hai,

Oye sun khush hu mai tum sabko pakar,

Khush hu mai ke tumne bhi rakhliya mujhe apna bnakar,

Jo sath ho mere ab hmesha ese hi rehna,

Zarurat padhne par bhi sath yuhi nibhate rehna,

Ek dusre ke khwab millkar pure krenge,

Reh nah jaye koi bheed mai esliye hum ekdusre ka hath pakadkar chalenge,

Khali agar tumhara pet hai to ek nivala bhi mai kha nah paunga,

Agar tum kho toh tumhare liye bukha bhi reh jaunga,

Kuch dosti ke or kuch pyaar ke bhi rishte hai,

Khwab jo humne sath dekhe vo bzaro mai nahi bikte hai,

Asha suno mai khush hu ke tum sab sath ho ,

Chahta hu ke humari ek mulakat ho,

Sath milkar bethe or kuch hassi ki baat ho,

Suno ab tu mere sath ho,

Aj jo likjha hai mene vo kabhi bayan nahi kar paya ,

Ishq hai mujhe apno se ye kabhi meri zuban par nahi aya,

Par aj mai kehta hu sath tum sabka mujhe acha lagta hai,

Baat karta hu jab tumse to jo kho chuka hai mujh me vo bacha lagta hai,

AJ mai apne jazzbatton ko tumhe sunna raha hu,

Ye kehna tha tumse jo aj mai tumhe bata rha hu…………..

Tum sath dena mera mai bhi akhir tak sath nibhaunga, Vada hai mera mai markar bhi tumhare sath hi jaunga….

Tera Fir Laut Ana

Tera fir laut ana mujhe hairan sa kar gya,

Kya baat hogi ye sochkar pareshan sa hogya,

Kahi nah khi mai janta tha tu mujhe bulana chahti hai,

Jo rishta kahi khogya usko fir banana chahti hai,

Khaffa nahi ho tujhse bass naraj sa hu,

Jo bann gye hai halat unse kuch anjan sa hu,

Laut aye ho agar tum sath mai bhi nibhaunga,

Bigdi hai jo baat use bhulkar rishte ko mazbut bnaunga,

Acha sun ek baat aur btata hu,

Baat nahi hui nah humari toh un dino ki baat btata hu,

Joi mujhse door the nah vo fir laut aye hai,

Anjane mai hi sahi jisne mujhe kaffi dukh paunchaye hai,

Milli ek anjan si bhi hai,

Jo aj meri jaan si hai,

Sath bohat nibha rahi hai ,

Har din mujhe vo apna bana rhi hai,

Mohabbat bhi beshumar karti hai,

Mujhe ab izhar karne se bhi nah darti hai,

Sath uska mai bhi nibha raha hu,

Hadd se zyada use apna pyaar jta raha hu,

Pakar us pyaar ko hassi uski badal rahi hai,

Pehele jo thi bnavati aj vo dill se nikal rahi hai,

Oye sun ek baat kehna chahta hu door nahi tere sath rehna chahta hu,

Baat agar koi ho toh bta diya kar,

Yu har batt ko dill me nah chupa liya kar,

Koshish mai kar rha hu tujhe fer apnane ki,

Thoda waqt zarur lagega magar mai fir vahi ban jaunga,

Jo hasta tha sath tere vahi hassi fir bann jaunga,

Jise tu yaad karti thi mai fir vahi bankar laut aunga…..

Aj fir vo laut aya jise mai bhi bulana chahta tha, Apna banaya tha jise use kiya sath rehne ka wada nibhana chahta tha…..

Vo Raat

Mujhe aj bhi vo yaad hai thandi si vo raat hai,

Chand bhi toh gvah tha mera,

Mukh jab tumne tha mujhse fera,

Sunkar tere alfazon mai khud ko rok paya nah,

Akhen bharkar betha tha par ek asun bhi baha paya nah,

Yaad hai nah tujhe us raat kya baat hui thi,

Shayd vo humari akhri mulakat hui thi,

Hassi thi tere chehre par or mai asun baha rha tha,

Keh rha tha mai na jao yu chordkar zindgi ke safar me,

Par tujhe vo mera mazak lag rha tha,

Roz ki trah us roz bhi tumhe akele jane nah diya,

Bithakar apni bike par hmesha ki trah tumhe ghar chord diya,

Tutt gya tha me ek bar fir khudhi ke hathon se,

Us raat yaad kar teri meri mulakato se,

Bikhar jata mai teri hi en yaadon me,

Agar tune us din mukh mujhse nah fera hota tera,

Toh shayd aj mujhe vo nahi milta jo sahi me tha mera,

Dosto ne mera khub sath sath nibhaya ,

Do hai vo jinhone mere asuon ko ponch mujhe ferse zindgi jeena sikhaya,

Kahi ho na jau udass mai es baat se vo boht darte hai,

Chahta tha mai tujhe apni zindgi me vaps pana,

Pagal sa hogya tha mai ghumta tha jaise koi diwana,

Laga fir moiabbat nah hogi mujhe,

Lekin mai fer galat nikla ,

Khuda ne bhi kya khub khel bnaya,

Anjane mai mujhe ek ladki se milvaya,

Anjan se the hum magar fir bhi koi rishta lagta tha,

Najane kiu vo mujhe apna sa lagta tha,

Aj vo mere pass hai hai tu najane kaise door hogyi,

Mohabbat tujhse bhi ki thi magar uske sath meri mohabbat ab mashhoor hogyi,

Ye nahi ke bhul gya hu tujhe teri yaad abhi bhi sath hai,

Har us mulakat ka aj bhi mujhe ehsas hai,

Par ab nayi yaadon me teri vo sari yaaden dhundli si padgyi hai,

Khwab jo tere sath dekhe the mujhe aj vo yaad bhi nahi hai,

Ab mere pass pyaar hai meraa tujhe vapas pane ki koi aas hi nahi hai,

Oye sun khush rehna apni zindgi mai bass yahi ek khwaish judi hai tujhse,

Mulakat hui to ajnabii matt ban jana,

Jab bhi zrurat ho meri ek bar zrur awaz lgana,

Yu baat ko dill me rakh khudko hi dukh mat ponchana…………………

Mulkat zrur hogi, Mai janta hu tujhse baat zrur hogi.

Ye Akhri Pall

Aj yeh din bohot ajeeb hai,

Door ho rhe hai vo jo kayi salo se kareeb hai,

Door yeh hona nahi chahte,

Ekdusre ko khona nahi chahte,

Kal ab ek neya svera layega,

Hum sabki zindgi me ek neya swera layega,

Ab Roz mill ton nahi payenge,

Jo bitayeen hai pall sath me unhe bhi nah bhull payenge,

Vo roz subhe milna toh klse nah ho payega,

Par abto tumhara ek WhatsApp message mera dill khush kar jayega,

Lecture ko chordkar aksar bhag jate the,

Fir attendance kam hone par ekdusre par hi nam lgate the,

Aksar dosto mai ek aisa hota hai,

Jo chote se mzak karne par muh ltkake roota hai,

Baki sab use dekhar muskurate the,

Haste haste niche lit jate the,

Vo din ab bohot yaad ayenge ,

Dekh tasveero ko akhon me bhi khub assun ayenge,

Kuch door chle jyenge,

Or kuch sath rehkar zindagi mein sath nibhayenge,

Par vo pal jo humne sath hai bitayen vo bohot yaad ayenge….

Ye jo akhri pall hai ye bhot rulaynge, Jab bethenge akele toh bitaye kuch sall sath tumhare mujhe bohoit yaad ayenge..

Nayi Shuruat

Khuda ne bhi kya khel bnaya ,

Kaiyon ko zindagi me laya,

Ruk gye hai kayi sath humare,

Challe bhi gye hai kayi dekhkar halat humare,

Rukne wallon ka bhi khub sath nibhaunga mai,

Yeh nahi ke janne wale jo bhi bhull jaunga mai,

Unki yaaden aj bhi sath hai,

Unke sath har mulakat mujhe yaad hai,

Akhri saans tak vo yaad rhenge hakikat me nahi par khwabo me toh sath rhenge,

Mulakat toh nahi hogi par dill me ek aas zrur rhegi,

Najane kyu unse milkr puchne ki ke kiu gye yu chordkar ye pyass toh jrur rhegi,

Najane kyu vo aj bhi apne se lagte hai,

Najane kyu aj bhi vo mujhe mere sapne se lagte hai,

Roz puchkar chand se hall unka apne dill ko khush karleta hu,

Vo mujhe dekhna bhi nahi chahte fir bhi unkeliye roz duayen kardeta hu,

Yeh bhi nahi ke dill me pyaar nhi tha unke,

Magar fir bhi vaade nibha nah ske,

Apna bnakar bhi hum unhe apna bna nah ske,

Akhen bhi unki sab byan kar deti thi,

Magar mai fir bhi chup rha karta tha,

Janta tha ke sath kamm tha humara,

Lekin aj bhi toh uske liye dill roota hai bichara,

Zulfe jab bhi vo lehrati thi,

Aksar mujhe apna bna lejati thi,

Aj yeh jo kahani mai tumhe bta rha hu,

Yeh meri nahi akhon dekhi suna rha hu,

Beeta hai ye hazaron ke sath,

Tutta hai rab se vishvash or tutte hai kayiyo jazzbat,

Ab chord nh rona chall ferse karte hai ek nayi shuruat……….

Yu chahaten bhi beshumar thi, Mulakaten bhi beshumar thi, Aj jo tu mere sath nahi , Ye asuon ka sinsla bhi beshumar hai..

Mulakaat

Vo raat bhoht ajeeb thi jab tu mere kareeb thi,

Koi unkahi si baat thi or us raat me bhi koi baat thi,

Tujhse hui vo peheli mulakat merko aj bhi yaad hai,

Tere pyaar se vo chunne ka ehsaas aj bhi mere pass hai,

Tumhara vo sharmana sharmate hue fer us waqt muskurana,

Ankhen jab bhi band karta hu vo nazar ata hai,

Dekh tasveer ko khwab bhi hazaron sajata tha,

Ek din tum mere hoge ye kahaniya bhi bhoht bnata tha,

Mohabbat toh tumse peheli nazar me hi hogyi thi,

Par fir bhi mai chupata tha,

Es raaz ko janbuz kar mai apne dill me hi dbata tha,

Dar tha mujhe ke mohabbat nahi hai tujhe ese baat se ghabrata tha,

Teri har nayi tasveer ko bina puche save bhi kar jata tha,

Hazaron daffa teri profile ko dekha karta tha,

Message likkar aksar mita diya karta tha,

Janta nhi tha ke mohabbat tumhe bhi hai,

Dill tera bhi bekrar tha merse baat karne ko,

Ek bar nahi hazzaron bar karne ko,

Pyaar tha magar izhar na kar paye,

Pass the magar dillo ki baat na kar paye,

Dill chahta tha use panne ko,

Par fir bhi kuch majbooriyan thi,

Chahte nhi the magar fir bhi humme dooriyan thi,

Or kahi nh kahi ye dooriyan bhi zaruri thi,

Chahate the tum mohabbat se bhi door rehna,

Par fir bhi Mohabbat kar bethe,

Khushnaseeb hu mai tujhe aj apna banakar,

Khwab the jo mere unhe asliyat me lake,

Ab rehna hai yuhi sada sath tumhare,

Tham liye hai ab kabhi nahi chordunga hath tumhare,

Ek din ki baat nhi bitani hai zindagi sath tumhare,

Khush rakhna tujhe hai ab khwab mera,

Mai janta hu doge tum bhi sath mera,

Sun chall aj mai keh hi deta hu,

Mohabbat hai mujhe or itni ke kaise batau tujhe,

Sath chahta hu tera hath bhi toh thaam liye hai tune mera,

Oye sun “Mujhe pyaar hai terse”………..

“Khwaab mere tere ch vasde ne, Tenu hasde vekh supne vi mere hasde ne..”

Dreams (Supne)

Jinnu har pal mangya si mai duava ch,
Tu bilkul ude vargi hai,
Jinnu vekhya si mai khwaba ch,
Tu bilkul ude vargi hai,
Jinnu paun lyi me mathe teke ne gurudwareya ch,
Tu bilkul ude vargi hai,
Jis dinntu milli hai menu mai khush reh lagg gya,
Gamm lagya si jo dill nu oh bhulln jeha lagg gya,
Menu ni pta k tere nal ki rishta hai mera,
Par pta ni kio terna apna naa kehnte dill manda ni mera,
Menu pta ni tu ki mnadi hai menu,
Par kamliye dill ch vass gyi ee tu jis din di milli hai menu,
Tenu ajkl khwaba vich vi nal hi pana,
Je kde khwab ch vi door hoja terto akhiya ch hanju leke uth jana,
Tenu khon to darda kamliye,
Te pyaar vi bathera va,
Menu pta k apa umara tak sath nibhana hai,
Adh vichkar ekduje nu chaadke ni jana hai,
Ha thoda jeha nadan hai,
Tan smjhya lya kri,
Gallan gallan vich hi sahi apna bnaleya kri,
Do pall di muskan teri mera din bna dendi hai,
Je na muskurave tu dill tk tu rava dendi hai,
Tere har hise de vich mai apna nam chahna,
Jinna tu ignore krdi ee us gall nu ohna tere kole auna,
Chann nal v teri pakki yaari ee,
Te menu chann vang hi tu pyaari ee,
Pehela tan mint vi sala vang niklde si,
Hun tan tere nal sal v minta vang guzar jane,
Jaanee rab ne v apna sath vadia nibhaya,
Tenu te menu ek bnaya hai,
Jehde jande ni si ek duje nu,
Hun apna apna kehnde hai,
Hun tan gall kre bgair jva nhi rehnde hai,
Tenu Khush rkhna vi hun ek khwab hai mera,
Mar java jr kde mai apne es khwab toh mukh fera,
Jaaane tu aj vi meri kl v rhengi,
Menu ni koi matlab eh dunia ki khegi,
Tere har supne nu apna bnake pura krunga,
Tere nal rovanga te tere nal hi hasanga,
Eh gal mai sabhnu dasunga tere nal hi rovanga te tere nal hi hasanga…

Mangya si jinnu har pal duava ch aj oh menu mill gya hai, Tuttkar sukh gya tha jo ye dill mera tere ane se ab ye bhi khill gya hai..

Broken

Akhon me hazzaron raaz lekr,
Dill me bhi kuch khwab lekr, Badh raha tha zindgi me,
Jab vo hasin chehra nazar aya,
Ek samey tha usne bhi tha bht hsaya,
Vo kuch pall hai zindgi k jo mai bhulana chahta hu,
Vhi kuch raaz hai jo mai apno se bhi chupana chahta hu,
Khushi thi kuch pall ki fir dur hogyi,
Kismat bhi najane kyu es kadr majbur hogyi,
Jab akhri thi mulakat akhen bhi numm thi,
Kuch kehna to chahta tha par zuban bhi gum sum thi,
Bayan nhi kar paunga un hallato ko,
Jo jag-jag rooya hu un raaton ko,
Gum nahi mujhe unke dur jane ka,
Na koi shikva unse mujhe yu rulane ka,
Kismt yu kamzor likhi hai hai janta hu mai,
Hai kuch buraiya hai mujhme manta hi mai,
Unki nafrto ko lekr aj bhi chla ja rha hu,
Andr hi andr aj bhi jlla ja rha hu,
Lagta tha mujhe tum akhir tak jaoge,
Vishvash tha tum mujhe zrur apnaoge,
Musibton me hath zrur thamoge mera,
Vada jo kiya tha hmesha sath nibhaoge mera,
Pall bhar jo paya sath tera,
Lagne lg gya tha sara jahan mera,
Tum vo hasin glti bnkr reh gye zindgi me,
Jise na bhulaya jaa skta or na hi paya jaa skta,
Zindgi to chlti rhegi khabo me khab bunti rhegi,
Yaad teri hmesha sath rhegi vo akhri mulakat hmesha yaad rhegi,
Aj tu khush hai zindgi me jo kbhi humari thi,
Yaad hai mujhe ke tu mere liye sbse pyaari thi,
Koshish jo ki age bhadne ki,
Fir us mod pr agya,
Bhull gya tha me ke kismt nahi meri,
Aj fer koi vhi pall yaad dilla gya……………

Zindagi ne bhohot kuch sikhaya hai, Samey ke sath gehro ko apna or apno ko bhi gehr bnaya…