Ek Vaada

Akhiyon ka paani hai ke ruk nah rha ,
Jise apna kehte the aj unpr bhi humara koi hkk nah rha,
Baat jakr har unhe btate the,
Raaz zindgi se sab unse se hi sanjhe kr jate the,
Khud se zyada vishvash tha unpar,
Magar fir bhi humare vishwas ki unhe kadar nah hui,
Aj humare raaz sabko pta hai,
Sabko btaya unhone ke hum unse door hue kyuki sari simar ki hi khata hai,
Yu nazro me giraya unhone ,
Jhuka nah tha jo khuda ke elava khi us simar ko bhi duniya ke age  jhukaya unhone,
Zindgi bhi ab ruth chuki thi,
Ek se nahi sabse hi dosti humari tutt chukki thi,
Koi esa nh rha jise mai apna keh pau,
Vo beth kar sune jb mai apni dastan use sunau,
Khuda ne kya zindgi ghumadi ,
Mujhe meri hi zindgi anjane mai miladi,
Do dosto ne bhi mujhe apna kha ,
Zrurt thi jab-jab unki vo sath hmesha khda rha ,
Ek thoda ajeeb sa hai ,
Karna bht kuch chahta hai magar beech me hi ruk jata hai,
Dusre ki kya hi baat btau ,
Har baat me ha kr mere sath hi chal deta hai,
Ek aur ee jisne mujhe apna bnaya ,
Apna bnakr mujhe apne dill me bsaya,
Sath vo har kadam par deti hai mera,
Zrurt ke samay me ajtk usne kbhi mujhse apna mukh nahi fera,
Vade jo karti hai vo nibhati bhi ee,
Khali dikhava nhi kari vo mujhe dill se chahti bhi hai,
Ab mene zindgi ka maksat bhi dhund liya hai,
Khoya tha jo use fer mai paunga ,
Adhore kammo ko akhir tk lekra jaunga,
Janta hu gir gya toh mere apne mujhe smbhal lenge,
Har mushkil se mera sath deke mujhe usee nikal lenge,
Sath mai bhi unka khub nibhaunga,
Aj vada karta hu tumse akhri sans tak tumhare sath hi jaunga……

Ha Khush Hu Mai

Ha bohot khush hu mai pakar tujhe,

Khush hu mai apna bnakar tujhe,

Khone se mai aksar darta tha,

Pall pall kahi apno ko nah khodu kai jatan bhi karta tha,

Yeh sall bohot ajeeb sa hai,

Jo ho chuke the door aj vo kareeb sa hai,

Laut kar bhi kai aye hai,

Aur mene bhi ab naye khwab sjaye hai,

Ha khush hu mai tumhare laut ane se,

Khush hu mai tera mujhe nah chord jane se,

Sath meri rooh bhi nibha rahi hai,

Mujhe rakhkar ahrpal khush apne kareeb la rhi hai,

Tum sab jo sath ho toh zindgi apni si lagti hai,

Bujh gayi thi jo mere armano ki jot lagta hai ab vo fer jagti hai,

Anek rishte aye hai zindgi me mere,

Par kuch rishte khass bann gaye,

Ab vo mujhe chordkar nah jyenge dill mai ye ehsas bann gye,

Chahate ab meri etni si hi hai,

Sath rahu tumahre ab zindgi jitni bhi hai,

Tum sabki khushi se mujhe khushi milti hai,

Ek muskan tumhari si zindgi meri khilti hai,

Oye sun khush hu mai tum sabko pakar,

Khush hu mai ke tumne bhi rakhliya mujhe apna bnakar,

Jo sath ho mere ab hmesha ese hi rehna,

Zarurat padhne par bhi sath yuhi nibhate rehna,

Ek dusre ke khwab millkar pure krenge,

Reh nah jaye koi bheed mai esliye hum ekdusre ka hath pakadkar chalenge,

Khali agar tumhara pet hai to ek nivala bhi mai kha nah paunga,

Agar tum kho toh tumhare liye bukha bhi reh jaunga,

Kuch dosti ke or kuch pyaar ke bhi rishte hai,

Khwab jo humne sath dekhe vo bzaro mai nahi bikte hai,

Asha suno mai khush hu ke tum sab sath ho ,

Chahta hu ke humari ek mulakat ho,

Sath milkar bethe or kuch hassi ki baat ho,

Suno ab tu mere sath ho,

Aj jo likjha hai mene vo kabhi bayan nahi kar paya ,

Ishq hai mujhe apno se ye kabhi meri zuban par nahi aya,

Par aj mai kehta hu sath tum sabka mujhe acha lagta hai,

Baat karta hu jab tumse to jo kho chuka hai mujh me vo bacha lagta hai,

AJ mai apne jazzbatton ko tumhe sunna raha hu,

Ye kehna tha tumse jo aj mai tumhe bata rha hu…………..

Tum sath dena mera mai bhi akhir tak sath nibhaunga, Vada hai mera mai markar bhi tumhare sath hi jaunga….