Ek Vaada

Akhiyon ka paani hai ke ruk nah rha ,
Jise apna kehte the aj unpr bhi humara koi hkk nah rha,
Baat jakr har unhe btate the,
Raaz zindgi se sab unse se hi sanjhe kr jate the,
Khud se zyada vishvash tha unpar,
Magar fir bhi humare vishwas ki unhe kadar nah hui,
Aj humare raaz sabko pta hai,
Sabko btaya unhone ke hum unse door hue kyuki sari simar ki hi khata hai,
Yu nazro me giraya unhone ,
Jhuka nah tha jo khuda ke elava khi us simar ko bhi duniya ke age  jhukaya unhone,
Zindgi bhi ab ruth chuki thi,
Ek se nahi sabse hi dosti humari tutt chukki thi,
Koi esa nh rha jise mai apna keh pau,
Vo beth kar sune jb mai apni dastan use sunau,
Khuda ne kya zindgi ghumadi ,
Mujhe meri hi zindgi anjane mai miladi,
Do dosto ne bhi mujhe apna kha ,
Zrurt thi jab-jab unki vo sath hmesha khda rha ,
Ek thoda ajeeb sa hai ,
Karna bht kuch chahta hai magar beech me hi ruk jata hai,
Dusre ki kya hi baat btau ,
Har baat me ha kr mere sath hi chal deta hai,
Ek aur ee jisne mujhe apna bnaya ,
Apna bnakr mujhe apne dill me bsaya,
Sath vo har kadam par deti hai mera,
Zrurt ke samay me ajtk usne kbhi mujhse apna mukh nahi fera,
Vade jo karti hai vo nibhati bhi ee,
Khali dikhava nhi kari vo mujhe dill se chahti bhi hai,
Ab mene zindgi ka maksat bhi dhund liya hai,
Khoya tha jo use fer mai paunga ,
Adhore kammo ko akhir tk lekra jaunga,
Janta hu gir gya toh mere apne mujhe smbhal lenge,
Har mushkil se mera sath deke mujhe usee nikal lenge,
Sath mai bhi unka khub nibhaunga,
Aj vada karta hu tumse akhri sans tak tumhare sath hi jaunga……

Vo jaan hai meri

Bhull chuke the hum tere us raat kiye ikrar ko,
Bhull gya tha mai thoda hi sahi tere us pyaar ko,
Roya tha mai khub teri yaad me us yaad ko bhi bhula diya tha,
Tere jane ke bad khudko apna bnaliya tha,
Dosto ne mera khub sath nibhaya,
Teri yaad me jab bikhar kr gir gya tha mai,
Hath pakad mera mujhe firse khda kr jeena sikhaya,
Raah me chlte kuj naye chehere bhi mille,
Apna bnakr jinhone mera khub sath nibhaya,
Kbhi bhull ni paunga unhe jinhe mujhe duniya se nazar milakr chlna sikhaya,
Fer khuda ne mujhe ek hasin chehre se vakif krvaya,
Na jane kiu mujhe mere bare bina jane mujhe usne apna bnaya,
Aksar kehti hai vo humara koi apse purana natta hai,
Varna kon etni jadli kisi ko apne dill me bsata,
Vo pyaar bhi behad krti hai,
Chahe mai jaisa bhi hu meri har tasveer par vo marti hai,
Darti hai vo ke koi kho nah le mujhe use,
Fer mai use apne galle se lga kr keh deta hu “koi nahi le jayega dur mujhe tujhse”,
Vo muskurake glle se lgaleti hai,
Beech beech me dekhkr mujhe fer akhen chura leti hai,
Nah bhi khu ke koi drd hai mujhe ,
Vo najane kaise pehchan leti hai ,
Gehre raaz daffan hai jo mere andr vo unhe bhi jaan leti hai,
Apna apna kehti mujhe kbhi thakti nah uski jubaan hai ,
Vo aur koi nhi vo meri jaaan hai…….

Kuch Khwaab

Kuch khwab mere tere nal jude ne ,
Ek var mere vall vekh tan sahi ter ek jhalak lyi eh saah mere khade ne,
Kuj pall nhi puri zindagi tere nal bitani hai,
Do pannya di nhi jo koi bhull nah sake eda di tere nal likhni kahani hai,
Kuch kande v haige ne sadiya raahan ch,
Asi fer vi nange pair tur avange ,
Apnya ne je thukraya vi sanu asi tan vi tenu  apne gall nal  lavange,
Pura vishvash haiga menu apne es pyaar te ,
Tere nal jo kite ne ikrar te,
Hun kuch khwab tere nal pugaune ne,
Hun kuj doha ne milke apne supne sajaune ne ,
Tenu apna bnake asi khud nu labh leya hai,
Bhull betha si khudnu hun hasil kar sabh leya hai,
Vadde kite ne jo oh puri reej nal nibhaunga,
Eh nah sochi kamliye tenu adhvichkar chadd jaunga,
Tere ek supne utte lakhan khushiya lutaunga,
Teri haar hon te tere nal rooke tera pura sath nibhaunga,
Sun sohniye tenu mai ehna chahuna ,
Supnya ch tan pehle vi aundi si par ajkal tan kitaban ch mai tenu pauna,
Sun jhalliye LoveYou hai mere vallo..

Kuch khwaab tere ne te kuj mere ne,

Millke krange bss raaha ch thode jahe hanere ne,

Te aan wale swere tere mere ne….

~SimarpreetSingh

Tera Fir Laut Ana

Tera fir laut ana mujhe hairan sa kar gya,

Kya baat hogi ye sochkar pareshan sa hogya,

Kahi nah khi mai janta tha tu mujhe bulana chahti hai,

Jo rishta kahi khogya usko fir banana chahti hai,

Khaffa nahi ho tujhse bass naraj sa hu,

Jo bann gye hai halat unse kuch anjan sa hu,

Laut aye ho agar tum sath mai bhi nibhaunga,

Bigdi hai jo baat use bhulkar rishte ko mazbut bnaunga,

Acha sun ek baat aur btata hu,

Baat nahi hui nah humari toh un dino ki baat btata hu,

Joi mujhse door the nah vo fir laut aye hai,

Anjane mai hi sahi jisne mujhe kaffi dukh paunchaye hai,

Milli ek anjan si bhi hai,

Jo aj meri jaan si hai,

Sath bohat nibha rahi hai ,

Har din mujhe vo apna bana rhi hai,

Mohabbat bhi beshumar karti hai,

Mujhe ab izhar karne se bhi nah darti hai,

Sath uska mai bhi nibha raha hu,

Hadd se zyada use apna pyaar jta raha hu,

Pakar us pyaar ko hassi uski badal rahi hai,

Pehele jo thi bnavati aj vo dill se nikal rahi hai,

Oye sun ek baat kehna chahta hu door nahi tere sath rehna chahta hu,

Baat agar koi ho toh bta diya kar,

Yu har batt ko dill me nah chupa liya kar,

Koshish mai kar rha hu tujhe fer apnane ki,

Thoda waqt zarur lagega magar mai fir vahi ban jaunga,

Jo hasta tha sath tere vahi hassi fir bann jaunga,

Jise tu yaad karti thi mai fir vahi bankar laut aunga…..

Aj fir vo laut aya jise mai bhi bulana chahta tha, Apna banaya tha jise use kiya sath rehne ka wada nibhana chahta tha…..