Sapne

Khushi (happiness) kehne ko toh ye ek chota sa word hai magar fir bhi logo ko mehsus krne me sallo lg jate hai. Ajkal es chakachond se bhari hui duniya me sab ek ke piche ek bhagi jare hai bina soche ke unke khudki Khushi kismat hai kya karke unhe Khushi milti hai. Dusro ko dekh vahi karne ki chahat me najane aj kitne logo ko akhir me mayus kiya. Shyad un sab ke bhi koi nah koi sapne honge kuch hasil karne ke magar kisi or ke jaisa bne ki chahat me un sabhi apne sapno ko nazarandazz sa krte jare hai. Shyad unki baton ko unke sapno ko kisi ne janne ka mauka hi ni diya School, Colleges jha shyd unhe vo btana chahiye tha ke unke pass kitni possibilities hai apna profession chunne ki par akhir me vo bss apna syllabus hi pura krvate re gye. Ha kyi bar humse pucha chahta tha ke tum bnna kya chahte ho magar ye unke puchne se aur humare btane tak hi tha eske age unhone kuch kaha hi ni ke jo hum banna chahte hai uska rasta kbhi unhne dikhaya hi nhi bss apne sullabus me hi uljhate rahe. Ghar jo shyd kisi bache ke liye pehla school hota hai or uske teachers humare mom-dad magar vo bhi najane kiu humare hote hue es smaj ke zyada hai. Tests me exams me number kamm ane pe hume dantna kisi aur se compare krna hume par kiu har koi ek jaisa nahi hota shyd. Har bar bss ek baat kehna ke agar tu padhega nhi to kuch bnega kaise? magar ! chlo ye bhi manta hu ke padhna zruri hai par ye to nhi nah ke hume vo padhaya jaye jo shyd age jakr humare kaam bhi nahi ayega konsi IT company me job dene se pehle akbar ka janam kb hua ye pucha jata? Konsi medical field ki job me barbar kb mara ye pucha jata? sare yhi kehre hai ke duniya badal rhi hai age badh rahi hai magar fir bhi kisi ek person ko azadi kiu nhi hai pane hisab se padhne ki apne hisab se sikhne ki. Shyad se School hote hi ese liye hai k eek student ka bhavishya sudhare unhe vo gyan dekar jo sai me uske kaam ayega age bhadne me naki unke dimag par bhoj dalkar ke numbers ke bina tum kuch nahi ho agar tum padhoge nahi to tum kisi kaam kaam ke nahi ho. Jis din ye sab Schools, Colleges ne ye kaha nah ke tum jo sikhna chahte ho hum vahi sikhayenge naki en kitabon ke talle tumhe dbayenge tab ye duniya sai mai age bhadegi.