Ek Vaada

Akhiyon ka paani hai ke ruk nah rha ,
Jise apna kehte the aj unpr bhi humara koi hkk nah rha,
Baat jakr har unhe btate the,
Raaz zindgi se sab unse se hi sanjhe kr jate the,
Khud se zyada vishvash tha unpar,
Magar fir bhi humare vishwas ki unhe kadar nah hui,
Aj humare raaz sabko pta hai,
Sabko btaya unhone ke hum unse door hue kyuki sari simar ki hi khata hai,
Yu nazro me giraya unhone ,
Jhuka nah tha jo khuda ke elava khi us simar ko bhi duniya ke age  jhukaya unhone,
Zindgi bhi ab ruth chuki thi,
Ek se nahi sabse hi dosti humari tutt chukki thi,
Koi esa nh rha jise mai apna keh pau,
Vo beth kar sune jb mai apni dastan use sunau,
Khuda ne kya zindgi ghumadi ,
Mujhe meri hi zindgi anjane mai miladi,
Do dosto ne bhi mujhe apna kha ,
Zrurt thi jab-jab unki vo sath hmesha khda rha ,
Ek thoda ajeeb sa hai ,
Karna bht kuch chahta hai magar beech me hi ruk jata hai,
Dusre ki kya hi baat btau ,
Har baat me ha kr mere sath hi chal deta hai,
Ek aur ee jisne mujhe apna bnaya ,
Apna bnakr mujhe apne dill me bsaya,
Sath vo har kadam par deti hai mera,
Zrurt ke samay me ajtk usne kbhi mujhse apna mukh nahi fera,
Vade jo karti hai vo nibhati bhi ee,
Khali dikhava nhi kari vo mujhe dill se chahti bhi hai,
Ab mene zindgi ka maksat bhi dhund liya hai,
Khoya tha jo use fer mai paunga ,
Adhore kammo ko akhir tk lekra jaunga,
Janta hu gir gya toh mere apne mujhe smbhal lenge,
Har mushkil se mera sath deke mujhe usee nikal lenge,
Sath mai bhi unka khub nibhaunga,
Aj vada karta hu tumse akhri sans tak tumhare sath hi jaunga……

Leave a comment