Let’s Start

Chalo aj ek neya swera bnate hai ,

Jo kahi khud me hi gumm ho chukka hai use firse dhund late hai,

Duniya ki es bheed me dusro ko nahi khud ko hi apna sathi bnate hai,

Vada kar khuds eke sath nahi chordenge apna ek neya kal lekar ate hai,

Khud par vishvash kar khud ko takatvar bnate hai,

Duniya me bohot milenge jo  hume todne ki koshish krenge,

Challo apni andar ki takat se apni jeet ko mukamal bnate hai,

Khwaab to hazaro hi en nanhi si akhon me ,

Toh kiu ese kisi ke karn asuon me bahate hai,

Intzar krte ho ek naye swere ki magar hum khud kiu nah apne kadam bhdate hai,

Chlo hum sath milkar ek neya swera bnate hai,

Jo kar nahi pa rahe apni madat unka sath dekar uhe bhi hasna sikhate hai,

Dill me hazaro sawal hai puch un sawalo ko apne andar se ek bhoj htate hai,

Khali kar mn ko apne fer ek nayi chahat jagate hai,

Hasil kar us chahat ko apne sath sath kuch aur logo ko bhi hasna sikhate hai,

Rulane walo ko kmi nahi , roe nah koi kuch esa kaam karke dikhate hai,

Es duniya ko kiu nah hum milkar apne vicharo se khubsurat bnate hai,

Chalo hum sab milkar ek neya swera lekar ate hai..

Sapne

Khushi (happiness) kehne ko toh ye ek chota sa word hai magar fir bhi logo ko mehsus krne me sallo lg jate hai. Ajkal es chakachond se bhari hui duniya me sab ek ke piche ek bhagi jare hai bina soche ke unke khudki Khushi kismat hai kya karke unhe Khushi milti hai. Dusro ko dekh vahi karne ki chahat me najane aj kitne logo ko akhir me mayus kiya. Shyad un sab ke bhi koi nah koi sapne honge kuch hasil karne ke magar kisi or ke jaisa bne ki chahat me un sabhi apne sapno ko nazarandazz sa krte jare hai. Shyad unki baton ko unke sapno ko kisi ne janne ka mauka hi ni diya School, Colleges jha shyd unhe vo btana chahiye tha ke unke pass kitni possibilities hai apna profession chunne ki par akhir me vo bss apna syllabus hi pura krvate re gye. Ha kyi bar humse pucha chahta tha ke tum bnna kya chahte ho magar ye unke puchne se aur humare btane tak hi tha eske age unhone kuch kaha hi ni ke jo hum banna chahte hai uska rasta kbhi unhne dikhaya hi nhi bss apne sullabus me hi uljhate rahe. Ghar jo shyd kisi bache ke liye pehla school hota hai or uske teachers humare mom-dad magar vo bhi najane kiu humare hote hue es smaj ke zyada hai. Tests me exams me number kamm ane pe hume dantna kisi aur se compare krna hume par kiu har koi ek jaisa nahi hota shyd. Har bar bss ek baat kehna ke agar tu padhega nhi to kuch bnega kaise? magar ! chlo ye bhi manta hu ke padhna zruri hai par ye to nhi nah ke hume vo padhaya jaye jo shyd age jakr humare kaam bhi nahi ayega konsi IT company me job dene se pehle akbar ka janam kb hua ye pucha jata? Konsi medical field ki job me barbar kb mara ye pucha jata? sare yhi kehre hai ke duniya badal rhi hai age badh rahi hai magar fir bhi kisi ek person ko azadi kiu nhi hai pane hisab se padhne ki apne hisab se sikhne ki. Shyad se School hote hi ese liye hai k eek student ka bhavishya sudhare unhe vo gyan dekar jo sai me uske kaam ayega age bhadne me naki unke dimag par bhoj dalkar ke numbers ke bina tum kuch nahi ho agar tum padhoge nahi to tum kisi kaam kaam ke nahi ho. Jis din ye sab Schools, Colleges ne ye kaha nah ke tum jo sikhna chahte ho hum vahi sikhayenge naki en kitabon ke talle tumhe dbayenge tab ye duniya sai mai age bhadegi.

Is Your Heart Okay?

Look at her full of careless she,
Doesn’t want to go in the brighten site,
Want to live in her own imagination,
Don’t allow anyone to involve in her matters,
Don’t want to share her feelings with anyone,
Wants to live with some of her favourite persons,
Avoid speaking up about herself,

Wait stop being imagine that she is depressed No ,

I talked about introvert girl,
She enjoy her own company ,
Everyone think they know her but deep inside only she know they don’t,
Emotionally weak from inside but stronger for world,
Wants to live alone but connected with god,
Prefer taking to nature rather than people,

She used silence to express her feelings but only few can understand,
She is annoying for many but unique for few,
She like teddy more then annoying people around her,
She does’t need people to comfort or accompany her,
Just some smoothing music is enough ,
Everyone wants new people, but she Distance from double faced people for good,
Hardly she share talk with someone and if someone know’s the secret then they are special,
She does’t need to prove love, the one close to her will understand!!

@Lines By Avishi

I NEVER FORGET

Mai kabhi bhull na paunga jo hua aksar mere sath hai,

Pass akar logo ne aksar sikhayi ek baat hai,

Layak nahi mai unko apna banne ke,

Aksar unki apni zarurat ke samey unhe apne pass pata hu,

Akhir me jate hue aksar koi aur apna or mai paraya ban jata hu,

Inkar nahi karta mai madad karne se,

Inkar nahi karta tumare sath khadne se,

Par fer bhi tum mujhe apna bana kar thukra jate ho,

Apna kehkar mujhe or gairo ko apna bna jate ho,

Kuch Baaten mujhe aj bhi satati hai,

Nam ko tumhare abhi bhi ye sanse apnati hai,

Koi shiqayat nahi mujhe bss ek guzarish hai,

Apna agar bolo mujhe toh thoda toh sath nibhaya kro,

Kaam hone ke bad ese toh na mujhe thukraya kro,

Mana pehle jaisa nahi hai kuch magar thoda yaakeen rakhte mujhpar toh acha lagta,

Ajnabi the tum tab bhi mai sabko kehta ye mujhe apna lagta,

Tumne aj vhi baat dhauradi jaise bakiyo ki hai vse hi apni chavi bnadi,

Sun, aj mai tumse kuch kehna chahta hu,

Umar toh chordo ek pal bhi na ab tere sath rehna chahta hu,

Zindgi mai aye the ye hmesha yaad rkhunga,

Hua tha jo mujhse tumhe apna banana ka gunah vo hmesha yaad rkhunga,

Chall ab apne-apne raste ko nikal jate hai,

Tere sath bitaye ek bhi pal na ab merko yaad ate hai……………..!

Zindgani

Suno challo aj ek nayi dastan bnate hai,
Jo ajtk hai dill ki ankahi vo dastan hum btate hai,
Khawabo me tujhe aksar pate hai,
pall jo guzare sath tere mujhe raaton mein rulate hai,
Bhulna chaha jo tujhe par fir bhi bhull nah patte hai,
Hakikkat mai toh tu sath nahi pr khawabo mai tujhe apne sabse qareeb hum patte hai,
Hasi meri teri muskan se judi hai,
Pass hokar bhi tu mujhse hi door khadi hai,
Likh deta hu aksar tujhe kitabon me,
Kabhi-kabhi pa leta hu tujhe apne khawabo me,
Peheli mohabbat thi jo tu meri aaj mujhse hi anjan hai,
Kabhi kehta tha tujhe mai apni aaj vhi kisi or ki jaan hai,
Aj fer teri yaad ne mujhe rula diya,
Mujhe mere bikhre hue naseeb se milla diya,
Logo ko dikhane ke liye aksar muskura leta hu,
Koi jaan nah le mere halaton ko esliye
kahi-kabhi sabko hasa leta hu,
Khawab mere bhi bohot hai magar fir bhi chuppa leta hu,
Zindagi mein maine apni harpal dukh hai kamaya,
Na apne samajh sake mujhe aur nah koi meri madad ko aya,
Na kehkar bhi har pal sabhi se kehta hu ke koshish kro shyd humme bhi samajh pao,
Uthkar alag es bheed se shyd jankare mujhe meri aur hi challe aao,
Bura nahi hu mai bass halaton ne majboor kardiya,
Khali tumse hi nahi mujhe gharwalo se bhi door kar diya,
Bachpan se ajtak vo bass ek baat hi sikhate the,
Ke padhai kaise chalri hai yahi puchne ko bass apne pass bulate the,
Mehnat toh khoob karta tha mai magar vo fir bhi umeed rakhte the,
bohoh bar dil toda unka ,
Koi shikwa nahi hai unse magar fir bhi ek shiqayt hai,
Bas ek bar pass akar gale se laga kar keh dete ke khush hu mai teri mehnat se,
Kya hua jo is bar nhi hua agli bar mil ke mehanat karange,
Toh shyd mai yu nah hota,
Lakhon ki bheed mai akela sa nah hota,
Dost bhi kai mille jo dekhte-dekhte kareeb hogye,
Socha tha ke jaan jayenge es khushi ke piche ka raaz,
Lekin vo mujhe jankar hi ajeeb hogye,
Ek pall pehele jo mere sath the vo aj kisi aur ke qareeb hogye,
Ab apne jazzbaton ko aksar kitabon mai likh deta hu,
Logo ki nazro mai aksar mai rishton me bik deta hu,
Har kisi ko khush karne ki koshish mai khud ki khushi gvah betha,
Kise ko meri baat ka bura na lag jaye isi aas mein apne ap ko tudwata rha,
Chahta tha dukh nah ho kisi ko esliye khud hi dukh kama betha,
Kehna tha jo vo mai kabhi keh paya nah,
Apno ke haton se hi hu bikhra or apno ko hi keh paya nah,
Jb thi zarurat mujhe sbki toh kisi ne nah sath nibhaya,
Aaj bhi yaad hai vo har ek shaqs jo meray halat dekh kush hua karte the,
Sath toh mere the najane or kispar marte the,
Aj ye kahani khali meri nahi har kisi ki zindgani hai ,
Likh di jo maine apne zubani hai…………..