Ek Vaada

Akhiyon ka paani hai ke ruk nah rha ,
Jise apna kehte the aj unpr bhi humara koi hkk nah rha,
Baat jakr har unhe btate the,
Raaz zindgi se sab unse se hi sanjhe kr jate the,
Khud se zyada vishvash tha unpar,
Magar fir bhi humare vishwas ki unhe kadar nah hui,
Aj humare raaz sabko pta hai,
Sabko btaya unhone ke hum unse door hue kyuki sari simar ki hi khata hai,
Yu nazro me giraya unhone ,
Jhuka nah tha jo khuda ke elava khi us simar ko bhi duniya ke age  jhukaya unhone,
Zindgi bhi ab ruth chuki thi,
Ek se nahi sabse hi dosti humari tutt chukki thi,
Koi esa nh rha jise mai apna keh pau,
Vo beth kar sune jb mai apni dastan use sunau,
Khuda ne kya zindgi ghumadi ,
Mujhe meri hi zindgi anjane mai miladi,
Do dosto ne bhi mujhe apna kha ,
Zrurt thi jab-jab unki vo sath hmesha khda rha ,
Ek thoda ajeeb sa hai ,
Karna bht kuch chahta hai magar beech me hi ruk jata hai,
Dusre ki kya hi baat btau ,
Har baat me ha kr mere sath hi chal deta hai,
Ek aur ee jisne mujhe apna bnaya ,
Apna bnakr mujhe apne dill me bsaya,
Sath vo har kadam par deti hai mera,
Zrurt ke samay me ajtk usne kbhi mujhse apna mukh nahi fera,
Vade jo karti hai vo nibhati bhi ee,
Khali dikhava nhi kari vo mujhe dill se chahti bhi hai,
Ab mene zindgi ka maksat bhi dhund liya hai,
Khoya tha jo use fer mai paunga ,
Adhore kammo ko akhir tk lekra jaunga,
Janta hu gir gya toh mere apne mujhe smbhal lenge,
Har mushkil se mera sath deke mujhe usee nikal lenge,
Sath mai bhi unka khub nibhaunga,
Aj vada karta hu tumse akhri sans tak tumhare sath hi jaunga……

Vo Raat

Mujhe aj bhi vo yaad hai thandi si vo raat hai,

Chand bhi toh gvah tha mera,

Mukh jab tumne tha mujhse fera,

Sunkar tere alfazon mai khud ko rok paya nah,

Akhen bharkar betha tha par ek asun bhi baha paya nah,

Yaad hai nah tujhe us raat kya baat hui thi,

Shayd vo humari akhri mulakat hui thi,

Hassi thi tere chehre par or mai asun baha rha tha,

Keh rha tha mai na jao yu chordkar zindgi ke safar me,

Par tujhe vo mera mazak lag rha tha,

Roz ki trah us roz bhi tumhe akele jane nah diya,

Bithakar apni bike par hmesha ki trah tumhe ghar chord diya,

Tutt gya tha me ek bar fir khudhi ke hathon se,

Us raat yaad kar teri meri mulakato se,

Bikhar jata mai teri hi en yaadon me,

Agar tune us din mukh mujhse nah fera hota tera,

Toh shayd aj mujhe vo nahi milta jo sahi me tha mera,

Dosto ne mera khub sath sath nibhaya ,

Do hai vo jinhone mere asuon ko ponch mujhe ferse zindgi jeena sikhaya,

Kahi ho na jau udass mai es baat se vo boht darte hai,

Chahta tha mai tujhe apni zindgi me vaps pana,

Pagal sa hogya tha mai ghumta tha jaise koi diwana,

Laga fir moiabbat nah hogi mujhe,

Lekin mai fer galat nikla ,

Khuda ne bhi kya khub khel bnaya,

Anjane mai mujhe ek ladki se milvaya,

Anjan se the hum magar fir bhi koi rishta lagta tha,

Najane kiu vo mujhe apna sa lagta tha,

Aj vo mere pass hai hai tu najane kaise door hogyi,

Mohabbat tujhse bhi ki thi magar uske sath meri mohabbat ab mashhoor hogyi,

Ye nahi ke bhul gya hu tujhe teri yaad abhi bhi sath hai,

Har us mulakat ka aj bhi mujhe ehsas hai,

Par ab nayi yaadon me teri vo sari yaaden dhundli si padgyi hai,

Khwab jo tere sath dekhe the mujhe aj vo yaad bhi nahi hai,

Ab mere pass pyaar hai meraa tujhe vapas pane ki koi aas hi nahi hai,

Oye sun khush rehna apni zindgi mai bass yahi ek khwaish judi hai tujhse,

Mulakat hui to ajnabii matt ban jana,

Jab bhi zrurat ho meri ek bar zrur awaz lgana,

Yu baat ko dill me rakh khudko hi dukh mat ponchana…………………

Mulkat zrur hogi, Mai janta hu tujhse baat zrur hogi.