Zindgani

Suno challo aj ek nayi dastan bnate hai,
Jo ajtk hai dill ki ankahi vo dastan hum btate hai,
Khawabo me tujhe aksar pate hai,
pall jo guzare sath tere mujhe raaton mein rulate hai,
Bhulna chaha jo tujhe par fir bhi bhull nah patte hai,
Hakikkat mai toh tu sath nahi pr khawabo mai tujhe apne sabse qareeb hum patte hai,
Hasi meri teri muskan se judi hai,
Pass hokar bhi tu mujhse hi door khadi hai,
Likh deta hu aksar tujhe kitabon me,
Kabhi-kabhi pa leta hu tujhe apne khawabo me,
Peheli mohabbat thi jo tu meri aaj mujhse hi anjan hai,
Kabhi kehta tha tujhe mai apni aaj vhi kisi or ki jaan hai,
Aj fer teri yaad ne mujhe rula diya,
Mujhe mere bikhre hue naseeb se milla diya,
Logo ko dikhane ke liye aksar muskura leta hu,
Koi jaan nah le mere halaton ko esliye
kahi-kabhi sabko hasa leta hu,
Khawab mere bhi bohot hai magar fir bhi chuppa leta hu,
Zindagi mein maine apni harpal dukh hai kamaya,
Na apne samajh sake mujhe aur nah koi meri madad ko aya,
Na kehkar bhi har pal sabhi se kehta hu ke koshish kro shyd humme bhi samajh pao,
Uthkar alag es bheed se shyd jankare mujhe meri aur hi challe aao,
Bura nahi hu mai bass halaton ne majboor kardiya,
Khali tumse hi nahi mujhe gharwalo se bhi door kar diya,
Bachpan se ajtak vo bass ek baat hi sikhate the,
Ke padhai kaise chalri hai yahi puchne ko bass apne pass bulate the,
Mehnat toh khoob karta tha mai magar vo fir bhi umeed rakhte the,
bohoh bar dil toda unka ,
Koi shikwa nahi hai unse magar fir bhi ek shiqayt hai,
Bas ek bar pass akar gale se laga kar keh dete ke khush hu mai teri mehnat se,
Kya hua jo is bar nhi hua agli bar mil ke mehanat karange,
Toh shyd mai yu nah hota,
Lakhon ki bheed mai akela sa nah hota,
Dost bhi kai mille jo dekhte-dekhte kareeb hogye,
Socha tha ke jaan jayenge es khushi ke piche ka raaz,
Lekin vo mujhe jankar hi ajeeb hogye,
Ek pall pehele jo mere sath the vo aj kisi aur ke qareeb hogye,
Ab apne jazzbaton ko aksar kitabon mai likh deta hu,
Logo ki nazro mai aksar mai rishton me bik deta hu,
Har kisi ko khush karne ki koshish mai khud ki khushi gvah betha,
Kise ko meri baat ka bura na lag jaye isi aas mein apne ap ko tudwata rha,
Chahta tha dukh nah ho kisi ko esliye khud hi dukh kama betha,
Kehna tha jo vo mai kabhi keh paya nah,
Apno ke haton se hi hu bikhra or apno ko hi keh paya nah,
Jb thi zarurat mujhe sbki toh kisi ne nah sath nibhaya,
Aaj bhi yaad hai vo har ek shaqs jo meray halat dekh kush hua karte the,
Sath toh mere the najane or kispar marte the,
Aj ye kahani khali meri nahi har kisi ki zindgani hai ,
Likh di jo maine apne zubani hai…………..