Vo jaan hai meri

Bhull chuke the hum tere us raat kiye ikrar ko,
Bhull gya tha mai thoda hi sahi tere us pyaar ko,
Roya tha mai khub teri yaad me us yaad ko bhi bhula diya tha,
Tere jane ke bad khudko apna bnaliya tha,
Dosto ne mera khub sath nibhaya,
Teri yaad me jab bikhar kr gir gya tha mai,
Hath pakad mera mujhe firse khda kr jeena sikhaya,
Raah me chlte kuj naye chehere bhi mille,
Apna bnakr jinhone mera khub sath nibhaya,
Kbhi bhull ni paunga unhe jinhe mujhe duniya se nazar milakr chlna sikhaya,
Fer khuda ne mujhe ek hasin chehre se vakif krvaya,
Na jane kiu mujhe mere bare bina jane mujhe usne apna bnaya,
Aksar kehti hai vo humara koi apse purana natta hai,
Varna kon etni jadli kisi ko apne dill me bsata,
Vo pyaar bhi behad krti hai,
Chahe mai jaisa bhi hu meri har tasveer par vo marti hai,
Darti hai vo ke koi kho nah le mujhe use,
Fer mai use apne galle se lga kr keh deta hu “koi nahi le jayega dur mujhe tujhse”,
Vo muskurake glle se lgaleti hai,
Beech beech me dekhkr mujhe fer akhen chura leti hai,
Nah bhi khu ke koi drd hai mujhe ,
Vo najane kaise pehchan leti hai ,
Gehre raaz daffan hai jo mere andr vo unhe bhi jaan leti hai,
Apna apna kehti mujhe kbhi thakti nah uski jubaan hai ,
Vo aur koi nhi vo meri jaaan hai…….

Is Your Heart Okay?

Look at her full of careless she,
Doesn’t want to go in the brighten site,
Want to live in her own imagination,
Don’t allow anyone to involve in her matters,
Don’t want to share her feelings with anyone,
Wants to live with some of her favourite persons,
Avoid speaking up about herself,

Wait stop being imagine that she is depressed No ,

I talked about introvert girl,
She enjoy her own company ,
Everyone think they know her but deep inside only she know they don’t,
Emotionally weak from inside but stronger for world,
Wants to live alone but connected with god,
Prefer taking to nature rather than people,

She used silence to express her feelings but only few can understand,
She is annoying for many but unique for few,
She like teddy more then annoying people around her,
She does’t need people to comfort or accompany her,
Just some smoothing music is enough ,
Everyone wants new people, but she Distance from double faced people for good,
Hardly she share talk with someone and if someone know’s the secret then they are special,
She does’t need to prove love, the one close to her will understand!!

@Lines By Avishi

Tu Etna Pyaar Kaise Karti Hai?

Har din teri ati hai bohot yaad ,
Intzar rehta kab hogi humari tumse baat,
Baat jab hoti hai kabhi-kabhi ankhen dono ki roti hai,
Najane vo kya baat hai dono ke har bar mill jate jazbaat hai,
Adhure se rehte the jo vo pure hogye,
Milne ke bad ekdusre ki yaadon me hi khogye,
Jo akele se the vo ab ek hogye,
Vo aksar mujhe hath pakad uthati hai,
Jab mai gir padta hu toh mujhe aksar mera sath nibhati hai,
Jab mai bikhar jata hu vo aksar mujhe jaan apni bulati hai,
Batton hi batton me roz mere dill ko mujhhi se churati hai,
Ab uski jaan bhi mere me basti hai,
Mere asuon me asun or hasi mai hasti hai,
Najane mujhe vo kyu etna pyaar karti hai,
Mai bhi uska pura sath nibhata hu ,
Jeeya jaise kaise use har mod par batata hu,
Vo bhi meri har baat samjhti hai,
Udas hone par mere vo najane kaise jaanjati hai,
Gussa ho agar vo mujhse fir mere thode pyaar karne par hi manjati hai,
Passand nahi hai use mera yu gussa karna,
Aksar es baat se mujhse ladti hai,
Par pata nhi najane vo mujhe etna pyaar kaise karti hai,
Jhalli si hai vo har baat mai ulajhti hai,
Samadar bhi hai etni ke mere bin kahe hi vo dill ki baat samajhti hai,
Pure din mere jwab ka intzar karti hai,
Sapno me chordo vo padhte hue bhi mujhe yaad karti hai,
Phadhle tu usse mai har baar kehta hu,
Bass thodi der aur kehkar aksar mnna leti hai,
Call par sone ke bad mere aksar dhemi si awaaz mai LoveYou bhi kehti hai,
Duaye mang mere liye fir vo bhi so jati hai,
Najane vo mujhe kaise itna chahti hai….❣️❣️

Vo Raat

Mujhe aj bhi vo yaad hai thandi si vo raat hai,

Chand bhi toh gvah tha mera,

Mukh jab tumne tha mujhse fera,

Sunkar tere alfazon mai khud ko rok paya nah,

Akhen bharkar betha tha par ek asun bhi baha paya nah,

Yaad hai nah tujhe us raat kya baat hui thi,

Shayd vo humari akhri mulakat hui thi,

Hassi thi tere chehre par or mai asun baha rha tha,

Keh rha tha mai na jao yu chordkar zindgi ke safar me,

Par tujhe vo mera mazak lag rha tha,

Roz ki trah us roz bhi tumhe akele jane nah diya,

Bithakar apni bike par hmesha ki trah tumhe ghar chord diya,

Tutt gya tha me ek bar fir khudhi ke hathon se,

Us raat yaad kar teri meri mulakato se,

Bikhar jata mai teri hi en yaadon me,

Agar tune us din mukh mujhse nah fera hota tera,

Toh shayd aj mujhe vo nahi milta jo sahi me tha mera,

Dosto ne mera khub sath sath nibhaya ,

Do hai vo jinhone mere asuon ko ponch mujhe ferse zindgi jeena sikhaya,

Kahi ho na jau udass mai es baat se vo boht darte hai,

Chahta tha mai tujhe apni zindgi me vaps pana,

Pagal sa hogya tha mai ghumta tha jaise koi diwana,

Laga fir moiabbat nah hogi mujhe,

Lekin mai fer galat nikla ,

Khuda ne bhi kya khub khel bnaya,

Anjane mai mujhe ek ladki se milvaya,

Anjan se the hum magar fir bhi koi rishta lagta tha,

Najane kiu vo mujhe apna sa lagta tha,

Aj vo mere pass hai hai tu najane kaise door hogyi,

Mohabbat tujhse bhi ki thi magar uske sath meri mohabbat ab mashhoor hogyi,

Ye nahi ke bhul gya hu tujhe teri yaad abhi bhi sath hai,

Har us mulakat ka aj bhi mujhe ehsas hai,

Par ab nayi yaadon me teri vo sari yaaden dhundli si padgyi hai,

Khwab jo tere sath dekhe the mujhe aj vo yaad bhi nahi hai,

Ab mere pass pyaar hai meraa tujhe vapas pane ki koi aas hi nahi hai,

Oye sun khush rehna apni zindgi mai bass yahi ek khwaish judi hai tujhse,

Mulakat hui to ajnabii matt ban jana,

Jab bhi zrurat ho meri ek bar zrur awaz lgana,

Yu baat ko dill me rakh khudko hi dukh mat ponchana…………………

Mulkat zrur hogi, Mai janta hu tujhse baat zrur hogi.

Life Less

Gum sum si zindgi hai meri,
Apno ne bhi akhen yu feri,
Tutt kar bikhar gye raho me,
Pal me yu apne dur hogye,
Sapne jo dekhe the vo khud hi chur hogye,
Dukh me nahi aksr sukh me unka sath chahta tha,
Yuhi rah chlte logo ko hstata tha,
Hasi bantne k safar me khud gum hogya,
Dusro k sapne pure krne me khud ko hi kho gya,
Waffa ke bdle waffa hi to mangi thi ae zindgi,
Etna bhi kya gunah krdiya,
Ki aj mere apno ne apne se hi dur krdiya,
Kush hu ae khudda k tune sabv diya mere apno ko,
Sada dua ki mene jinki bhull kr apne sapno ko,
Bhull gya mai un raho ko jispr aksr challa karta tha,
Chalte-Chalte hzaro chotte-chotte sapne bunna krta tha,
Chot jo zingdi ne es kadar mari,
Ajtk sambhal na paya,
Jo bhi aya zindgi me abtk hsane ke bad usne hi rulaya,
Ye nahi ke jazzbat nhi mujhme,
Bss galti etni k zahir nhi kar pata,
Kismat apni mankr akela hi raho me chla jata,
Halaton ne bhi es kadar majbur kar diya,
Mujhe mujhse hi dur krdiya,
Aj bhi agr koi laut aye to koi shikva nahi unse,
Aj bhi apne sapne kurban krunga jaise pehele krta tha,
Unke phirse jane k bad yaad me vse marunga jaise pehle mrta tha,
Vishvash na raha ab khud pr bhi,
Ab apno par bhi kaise kru,
Aksr rehta hai ek khyal mnn me jiu ya maru,
Janta tha mai k bewafa hai zindgi,
Fir bhi wafa ki tlash me nikla tha,
Aj tham gya safar mera,
Jo kbhi khud ki khushi dhundne nikla tha……………………………