Tera Fir Laut Ana

Tera fir laut ana mujhe hairan sa kar gya,

Kya baat hogi ye sochkar pareshan sa hogya,

Kahi nah khi mai janta tha tu mujhe bulana chahti hai,

Jo rishta kahi khogya usko fir banana chahti hai,

Khaffa nahi ho tujhse bass naraj sa hu,

Jo bann gye hai halat unse kuch anjan sa hu,

Laut aye ho agar tum sath mai bhi nibhaunga,

Bigdi hai jo baat use bhulkar rishte ko mazbut bnaunga,

Acha sun ek baat aur btata hu,

Baat nahi hui nah humari toh un dino ki baat btata hu,

Joi mujhse door the nah vo fir laut aye hai,

Anjane mai hi sahi jisne mujhe kaffi dukh paunchaye hai,

Milli ek anjan si bhi hai,

Jo aj meri jaan si hai,

Sath bohat nibha rahi hai ,

Har din mujhe vo apna bana rhi hai,

Mohabbat bhi beshumar karti hai,

Mujhe ab izhar karne se bhi nah darti hai,

Sath uska mai bhi nibha raha hu,

Hadd se zyada use apna pyaar jta raha hu,

Pakar us pyaar ko hassi uski badal rahi hai,

Pehele jo thi bnavati aj vo dill se nikal rahi hai,

Oye sun ek baat kehna chahta hu door nahi tere sath rehna chahta hu,

Baat agar koi ho toh bta diya kar,

Yu har batt ko dill me nah chupa liya kar,

Koshish mai kar rha hu tujhe fer apnane ki,

Thoda waqt zarur lagega magar mai fir vahi ban jaunga,

Jo hasta tha sath tere vahi hassi fir bann jaunga,

Jise tu yaad karti thi mai fir vahi bankar laut aunga…..

Aj fir vo laut aya jise mai bhi bulana chahta tha, Apna banaya tha jise use kiya sath rehne ka wada nibhana chahta tha…..

Leave a comment